Friday, 28 September 2012

Afsos Shayari



Jahalat-Poetry

Jism Ki pooja Ko Mohabbat Kehta Hai Aaj Ka Falsafa,
Yehi Door-e-Hazir Ki Mohabbat Hai, To Mein Jahil Hi Sahi…!
---------------------------------
Urdu Udas Shayari

Mujhe Hukam Hua Kuch Or Mang Us Ke Siwa,
Main Dast-e-Dua Se Uth Gaya Ke Mujhe Justaju Bus Usi Ki Thi.
--------------------------------------
Yeh Meri Aqeedat-e-Be_Sabar, Yeh Meri Ibadat-e-Be_Samar,
Mujhe Mere Dawah-e-Ishq Ne, Na Sanam Diya, Na Khuda Diya..
--------------------------------------------
Best Barish Poetry

Koi To Barsat Aisi Ho Jo Tere Sang Barsy...
Tanha To Meri Aankhen Har Roz Barasti Hain...
--------------------------------------
Socha Tha Likhon Ga Teri Sadgi Pe Ik Ghazal,
Afsoos Tere Mayaar Ke Lafz Hi Na Mil Sake
--------------------------------------

Umar Bhar Likhte Rahe Phi Bhi Warq Saada Raha
Jane Wo Kia Lafz The Jo Hum Se Tehreer Na Ho Sake...
----------------------------------------

Apni Zindagi Mein Unko Shamil Na Kar Sake,
Chah Kar Bhi Unko Hasil Na Kar Sake,
Unhe Bewafa Se Mohabbat Thi,
Afsoos Khud Ko Unke Kabil Na Kar Sake.....!
----------------------------------------------

Jab Saza Dey Hi Chuke Ho To Haal Kiya Pochte Ho
Hum Agar Be-Gunah Nikle To Tumhein Afsos Hoga....
---------------------------------------------
Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryani Nahi Jat - Inspirational poetry

Sharafat soz tasveeron ki uryani nahin jati,
Adaab ki aar main Targheeb-e-roomani nahin jati...

Khuda maloom nasal-e-nauu ka kia anjam hona hai,
Watan se fasah naghmo ki farawani nahin jati...

Azab aye to us main saienkron ki jaan jati hai,
Nahin jati to shaitano ki shaitani nahin jati...

Kahin basti ki basti bond pani ko tarasti hai,
Kahin barish barasti hai to tughyani nahin jati...

Zamana is qadar qaail hwa ha jhoote logon ka,
Jo sach kehte hain unki ek bhi maani nahin jati...

Jahan k zarre zarre se numayan hai jaalal Uska,
Magar hum se Khuda ki zaat pehchani nahin jati..!!!
---------------------------------------------

No comments:

Post a Comment