Friday, 28 September 2012

My Shayari



Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai - 2 line poetry

Izhar-e-Tamanna Hi Toheen-e-Tamanna hai "Furqan"
Tum Khud hi Samajh Jao, Me Naam Nahi loongi...
-------------------------
Ab wafa se mukar gya hai Dil,
Ab Mohabbat se dar gya hai Dil,
Ab Sahaaron ki baat mat krna,
Ab Dilason se bhar gya hai Dil,
Jab Bulate thy zinda dil thy hum,
Ab na aao k mar gya hai Dil..!
Ab wo pagal pan na wehshat hai "Furqan"
Chot kha kha kar Sambhal gya Hai Dil...!
---------------------------------

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko - 2 line urdu poetry

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko "Furqan"
Aisy jalte hain wafaon ko nibhane wale......!
--------------------------------


Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki - Zulm Shayari

Ajab Rasam Hai Carah Garon Ki Mehfil Ki,
Laga Ke Zakhm, Namak Se Misaj Karte Hain...
Ghareeb Shahar Tarasta Hai ik Nawale Ko "Furqan"
Ameer Shehar Ke Kutte Bhi Raaj Karte Hain...!
-------------------------------------

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko,

Ye iltija hai ke aankhon me basa lo ham ko "Furqan"
ham bhi sajh jayn ge, tum bhi sanwar jaoge...
------------------------------


Kabhi jo thak jana tum duniya ke mehfilo se
"Furqan"
Mujhe awaaz dena mai aksar akela hota hu
-------------------------------


Hue jis par meharban tum khushnaseeb hoga
"Furqan"
Meri hasrate to nikli mere aansuo me dhal kar
-------------------------------


Kabhi Mujhko Saath Leke, Kabhi Mere Saath Chal ke
"Furqan"
Woh Badal Gaye Aahanak Meri Zindagi Badal Ke
--------------------------------


Intezamat Naye Sire Se Sambhale Jayen
Jitne Kamzarf Hain Mehafil Se Nikle Jayen
Mera Ghar Aag Ke Lapaton Mein Chupa Hai Lekin
Maza To Jab Hai"Furqan" Tere Aangan Mein Ujale Jayen
---------------------------------


Apni tabahiyon ka mujhe koi gam nahin
"Furqan"
Tumne kisi ke saath mohabbat nibha to di
------------------------------


Dhoond Ke Har Naye Bahaane Ko
Hum Hi Milte Hain Kya Sataane Ko
Neend Me Choom Kar Ho Tum Jaati
Kya Kahen Tere Aise Aane Ko
Jo Suna Haarte Hain Ishq Me Sab
Hum Bhi Taiyaar Aazmaane Ko
Jab Salamat Hain Haath-Paaun Mere
Chahiye Aur Kya Kamaane Ko
Chot To Jaan-Boojh Kar Khaayi
Kaun Kehta Hai Dil Lagaane Ko
Chhod Jaayenge Jab Zamaana Hum"Furqan"
Yaad Aayenge Is Zamaane Ko
----------------------------------


Umar bhar ki chahton ka khwab ankhon me liye
"Furqan"
Tum bhi bichar jaoge ek din auron ki tarah
---------------------------------



Hamari zaat bigadti hai ya sanwarti hai
Tujeh bhula k bhi dekhaiNge kya guzarti hai
Mile jo maut to ab usko zindagi bakhshuN 
Ye zindagi to mere sath roz marti hai
---------------------------------



Isi khayal se palkon pe ruk gae aansu
"Furqan"
Teri nigaah ko shayad subut-e-gham na mile
----------------------------------


Itni qasme kha baitha hoon itne waade tod chuka
"Furqan"
Ab khud se bhi milne ki khatir bhes badalna padta hai
-----------------------------------


Khud ko manwane ka mujhko bhi hunar aata hai
Main wo qatra hoon samandar mere ghar aata hai
Tumhare husn ki tafseel kaun batlaye "Furqan"
Jo dekhta hai wo aankhon me doob jata hai
---------------------------------


Ek Kahaani Si Dil Par Likhi Rah Gayi
Woh Nazar Jo Mujhe Dekhti Rah Gayi
Log Bazaar Me Aake Bik Bhi Gaye "Furqan"
Meri Qimat Lagi Ki Lagi Rah Gayi
-----------------------------------


Shukr guzar tumhara hoon mai
Jo kahte hain maan rha hoon

Tuhi mera damsaaz hai "Furqan"
Tujh se hi anjan raha hoon

Jaan jigar ho jaan rha hoon
Mai tumko pahchan rha hoon

Lage hain chup ke aise pahre
Jaise sab kuch jaan rha hoon


-------------------------

Raat thi mahtab tha jugnu the taare the magar
.
.
Tum nhi the "Furqan" to badi afsurdgi thi paas me


--------------------------


Ahmad Faraz




Tamam Umer Usi Ke Khayal Mein Guzri 'Faraz'
Mera Khayal Jise Umer Bhar Nahi Aaya....
-------------------------------

Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo 'Faraz'
Mitti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti....
-------------------------------------

Yeh Mohabbat bhi hai kia Rog 'Faraz',
Jisko bhoolay wo sada yaad aaya...!
-----------------------------------------
Kuch Mohabbat ka Nasha pehle ham ko Tha Faraz
Dil jo Toota to Nashe se Mohabbat Ho gai....!

----------------------------------------

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi 
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par 
Naam tera likh diya baarish ke baad....!
---------------------------------


Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha 'Faraz'
Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay...!!
----------------------------------

♥ Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ♥
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...


Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain....

Sad Shayari



Adhoora-Piyar-Shayari

Chalo Tum Saath Mat Dena
Mujhe beshak Bhula Dena
Naye Sapne Saja Lena
Naye Rishte Bana Lene…
Bhula Dena Sabhi Wadey
Sabhi Qasmain, Sabhi Natey
Tumhein Jaana Ijazat Hai
Jo Dil Chahe Wo Sab Karna..
Mager Ab Tum Kisi Se Bhi
Adhora Piyar Na Karna….!
------------------------------------------
Sad-Dukh-Shayari

Yun To Gham Sab ki Zindagi Mein Hai
Zabt Lekin Kisi Kisi Mein Hai
Us Ne Sun Kar Ghazal Kahan Meri
Kitna Dukh Teri Shayari Mein Hai…
--------------------------------------
Sad Poetry

Kabhi Lafz Bhool jaon, Kabhi Baat Bhool Jaon,
Tujhe Is Qadr Chahoon Ke Apni Zaat Bhool Jaon,
Uth Ke Tere Paas Se Jo Mein Chal Doon
Jate Hue Khud Ko Tere Paas Bhool Jaon…
-------------------------------
Aankhon-Bashir-Badr


Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha

Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha
Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha

Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha

Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha
---------------------------------
Sad-Dard-Poetry
Tere Mashware Ke Khaloos Pe Mujhe Tark-e-Ishq Qabool Hai,
Mager Aik Baat Hai Hum Nasheen! Meri Zindagi Ka Sawal Hai…!
--------------------------------
Urdu-Ghazal\
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone Do
Mein Khud Hi Laut Jaon Ga Mujhe Nakaam Hone Do
Mujhe Badnaam Karne Ke Bahane Dhoondte Ho Kion
Mein Khud Ho Jaon Ga Badnaam Pehle Naam Hone Do

Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf-E-Shikast
Mein Sab Tasleem Kar Lon Ga Ye Charcha Aam Hone Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafain Bech Laina Par Zara Nelaam Hone Do

Naye Aaghaz Mein Hai Hosla Kion Toor Bethe Ho
Tum Sab Kuch Jeet Jao Ge Zara Anjaam Hone Do
---------------------------------
Neend-Sad-Shayari\
Na Neend Hai Aankhon Me, Na Hi Koi Hasrat,
Kitna Saada Sa Reh Gaya Hun Mein Tere Baghair…
--------------------------------------
wasi shah poetry

Ab Ehsaas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kardo,
Mein Ke Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kardo
Na Tumhein Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho Ke Mujhe Pagal Kardo…

Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Se Rango,
Apni Aankhon Me Mere Naam Ka Kajal Kardo…
Dhoop Hi Dhoop Hon Mein Toot Ke Barso Mujh Par,
Mein To Sehra Hun Mujhe Piyar Ka Badal Kardo…

Iske Saye Mein Mere Khwab Mehak Uthen Gey,
Mere Chehre Pe Umeedon Bhara Aanchal Kardo..
Apne Honton Se Koi Mohar Lagao Mujh Par,
Ik Nazar Piyar Se Dekho Mujhe Ghayal Kardo…
--------------------------------
Sad Ishq Poetry

Hamari Be-Khudi Ka Haal Wo Pooche Ager,
To Kehna Hoosh Bas Itna Hai Ke Tum Ko Yaad Karte Hain…!
----------------------------------
Sad-Love-Poetry
Ab Koi Mujh Ko Dilaye Na Mohabbat Ka Yaqeen,
Jo Mujh ko Bhool Na Sakte They, Wohi Bhool Gaye…
----------------------------------------
Bewafa-Mohsin-Shayari
Khushk Honton Se Hua Karti Hain Meethi Batain ‘Mohsin’,
Piyaas Bujh Jaye to Lehje Bhi badal jatey Hain ….!
----------------------------------------
Aansu-Sad-Poetry
Likhna To Tha Ke Khush hun Tere Baghair Bhi,
Aansu Magar Qalam Sey Pehle Hi Gir Gaye…
--------------------------------------------
Sad Love Poetry
“Ajeeb Hai Mohabbat”
Har Pal Usey Sochna,
Har Pal usey khojna,

Kabhi usey paa laina,
Kabhi usey kho daina…

Mein ajeeb, meri mohabbat us se bhi ajeeb,
Usey yaad karna,
Aur phir roo daina
------------------------------

Agar Dil Haar Bethe Ho.. Mere Hamdum Mohabbat Mein,
Fana Kesi? Baqa Kesi? Saza Kesi? Jaza Kesi......??
------------------------------------
Sad Poetry
Koi Kandha Ho Mayassar, Koi To Saath De Mera.!
Mujhe Toote Hue Ek Khuwab Ki Tad’feen Karni Hai….
-------------------------------
Sad poetry
Suna Hay Jab Mohabbat
Had Sey Barh Jaye
Ta’aluq Toot Jaty hain
Kisi Ki Badua’on Say
Muqaddar Phoot Jaty hain
Ta’aluq Toot Na Jaye
Muqaddar Phoot Na Jaye,
Hamare Haathon Mein
Jo Hath Hay,
Wo Choot Na Jaye
Hamara Kaanch Sa Ye Dil,
Kahin Phir Toot Na Jaye,
Chalo Apni Mohabbat Aazmaty Hain
Tumhain Hum Ye Batate Hain
Chalo Ham Rooth Jaty hain…
--------------------------------------------
Badshah Poetry

Anaa ki Mooj Masti Mein Abhi Bhi Baadshah Hain Hum...! 
Jo Hum ko toor Deta hai, Hum Us ko Chorr Daite Hain....!
--------------------------------
Prinda Urr Gaya Aakhir Ye Keh Kar Khushk Jheelon Se,
Mujhe Majboor Hijrat Pey Mere Halaat Karte Hain….
-----------------------------------
dard shayari
Mera Din Udas Hai, Aur Raat Tanha Si ‘Aey Dost’
Kia Qasoor Tha Mera Faqat Tujh Se Mohabbat Ke Siwa.?
--------------------------------------
Dard Bhari Shayari
Nahin Qabil Tere Lekin Munasib Jo Agar Samjho,
Yaad Rakhna Duaon Me Yehi Hai Dua Aey Dost…
--------------------------
Urdu Best Poetry

Do Char Nahi Mujhe Faqat Aik Hi Dikha Do 'Dost',
Wo Shakhs Jo Andar Se Bhi Bahar Ki Tarhan Ho..!
----------------------------------
Urdu Sad Poetry

Meri Mohabbatain Bhi Ajeeb Thin, Mera Faiz Bhi Tha Kamal Ka,
Kabhi Sab Kuch Mila Bina Talab, Kabhi Kuch Na Mila Sawal Par..!
----------------------------------------------
Zulm Shayari


Hazaaron Mushkilain Hai Doston Se Door Rehne Mein,
Mager Ik Faida Hai, Peeth Mein Khanjar Nahi Lagta…!
--------------------------------------------
best sad poetry


Tujh Se Bichra To Kisi Dar Ka Na Raha,
Khushk Pattay Ki Tarha Aaj Bhi Safar Me Hun…
----------------------------------------------------
Best Aaina Shayari

Mujhe Bhi Aaine Jesa Kamal Hasil Hai,
Mein Tootta Hun To Phir Be Shumaar Hota Hun..
--------------------------------------
best 2 line poetry

Aur Zamanat Wafa Ki Kia Ho Gi..??
Tum Meri Saans Girwi Rakh Lo...!!
--------------------------------------------
wo bewafa na tha

Wo  Bewafa na tha, yunhi badnaam ho gaya..!
Hazaroon Chahne wale the kis kis se wafa karta...?
-----------------------------------------
Roz Aa Jata Hai Dar-e-Dil Pe Dastak Daine - Sad Poetry

Rooz aa jata hai dar-e-dil pe dastak daine,
Ik shakhs jis ko me ne kabhi bhulaya hi nahi...!

--------------------------------------
Kitnay Majboor Hain Taqdeer Kay haathon - Sad Poetry

Kitnay Majboor Hain Taqdeer Kay Haathon,
Na usy panay ki Auqat, Na usy khony ka hosla.. 
------------------------------------------
Uljhan-Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai - Parveen Shakir Poetry

Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai,
Aur meri Janib apne Haath barhati Hai,
Soch Rahi Hoon!
Un ko Thamoon,
Zeena Zeena Sannaton Ke Teh-Khaanon Me Utron,
Ya Apne Kamre Me Thehroon
Chaand meri Khirki pe Dastak Daita Hai..!
---------------------------------------
Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko - 2 line urdu poetry

Kabhi dekh dhoop me khary tanha shajar ko,
Aisy jalte hain wafaon ko nibhane waly......!
-------------------------------------
Mujhe bhi Yaad kar laina - Sad Poetry

Chalo Mana!
Kisi Sa'at, Kisi Lamhe,
Kisi Din, Ya Kisi Shab mein,
Ya Hafte mein, Maheene mein,
Tumhain Fursat nahi, socho mujhe.....
Lekin koi Tehwaar aaye to,
Kisi ko tum Galy sy jab lagao to,
Mujhe bhi Yaad kar laina...!
-------------------------------------
Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shyed - two line poetry

Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay...!
---------------------------------------
Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho

Ab hum se zindagi ki haqeeqat na poocho...!
Bohat matlabi thy kuch log, jo tunha kar gaye....
--------------------------------
Mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shaks

Aj mere choone per bhi aitraaz karta hai wo shaks..
Jo saari raat meri baanhon me sooya karta tha...!
---------------------------------------
Han Main Wohi Shakhs Hun - Two Line Poetry

Haan Main Wohi Shakhs Hun.....!!
Dil main jiske Koi Bhi Tamanna nahi Baqi....
--------------------------------
Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain

Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,

Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...

Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...
--------------------------------------------
Hijar Ka Tara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat 'Wasi'

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat 'Wasi'
Qatra qatra baras rahi hai askhkon ki barsaat 'Wasi'

Tere baad ye dunya wale mujh ko pagal kar dain ge,
Khushbu ke dais me mujh ko le chal apne saath 'Wasi'

Yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gum sum betho ge?
Khamoshi se dam ghutta hai chairo koi baat 'Wasi'

Chor 'Wasi' ab us ki yaadain, tujh ko pagal kar dain gi,
Tu qatra hai wo darya hai, dekh apni Aoqaat 'Wasi'..!!
----------------------------------

Ek roz juda ho jaunga - urdu sad poetry

Ek roz juda ho jaunga...!
Na jane kahan kho jaunga
Tum lakh pukaro ge mujh ko
Pr lot k main na aunga
Jb ghar se bahir galiyon k
Konon pe tanha betho ge
Jb aaty jaaty chehron main
Tum chehra mera na pao ge
Thak har k din k kamo se
Jb rat ko sony jaoge
Dekho gye jb phone ko
Pegham mera na paoge
Tb yaad tumhy main aunga
Pr lot k main na aunga
Ek roz ye rishta chooty ga
Dil itna zada tooty ga
Phir koi na hum se roothe ga
Main na ankhen phir kholun ga
Tm se kbi na bolun ga
Us din tm ro do gy
Or hum ko kho do gy...!!!
-----------------------------------------


‎Jisy khud sy hi nahi fursatein, jisy khyal apny kamal ka.... !!


Usey kya khabar mery shoq ki, usy kya pata mere hal ka....
----------------------------------------

 Is Dunya me Kon Kare ga Wafa Kisi Se Kanwal,

"Dil" ke Do Harf Hain or wo bhi Juda Juda.....!!

--------------------------------------------


♥ MOHABBAT CHORR DI HUM NE ♥

Mohabbat chorr di hum ne....

Ye tum se kah diya kis ne ...,,,
K tum bin rah nahi saktay...,,,
Ye dukh hum sah nahi saktay...

Chalo hum maan laitay hain..
K Tun Bin.......
Hum buhat Roye....
kaii raton ko na soye....

Magar afsoos hai JANA...
K... ab k tum jo loto ge...
Humein Tabdeel Paoo Ge..
Buhat mayoos ho ge tum...

Agar tum poochna chaho k ...
Aisa kyn kiya hum ne.....
To .. sun lo goar se JANA...

PURANI IK RAWAYAT TANG AA KAR
TORR DI HUM NE.....

MOHABBAT CHOR DI HUM NE....!! 
MOHABBAT CHOR DI HUM NE....!!

-----------------------------------------

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha, 

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar, 
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...

------------------------------------------

Ankhen Shayari
Kitni Ratein Beet Gaein, Kitny Din Beet Gaye,
Bas Nhi Beeta To Yaadon Ka Wo Pal Wo Guzra Hua Kal…
Nhi Beeti To Ankhon Ki Nami aur Teri Kami……!
---------------------------------

Ladkiyaan Bewafaa nahi hoti...!
Wo to majborioon mein lipti hain...!

Apne shiddat bhare khyalon mein,
Apne ander chhupi ek aurat mein,

Wo hamesha hi darti rehti hain...!
Na to jeeti hain na to marti hain...!

Larkiyaan bewafaa nahi hoti :( Per Hamesha...
hi darti rehti hain...

Apne reeti or rawajoon se Ane wale naye azaboon se,
Zarurat mein khile ghulaboon se...!

Pyaar kerti hain or chhupati hain,
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti....!

Kyuon ki majborioon mein lipti hain...!
aur har lamha darti rehti hain...!

Apne pyaar se apne saye se,
Apney rishton se dil ki dharkan se,
Apni khowahish se apni kushiyon se...
♥♥♥

-----------------------------------------

‎--Is Bheegi Shaam K Saye Main-
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao
---------------------------
----------------------------------
Ye Shaam Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye
-------------------------------
Wo Bat Jo Hum Keh Na Sky
Ankho Ki Zubani Ho Jaye
----------------------------------
----------------------------------
Koi Pyari Baat Tum Chero
Koi Pyar Ki Baat Sunain Hum
----------------------------------
Haan Pyar Krain Yon Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye
----------------------------------
----------------------------------
Is Bheegi Shaam Suhani Me
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao


-----------------------------------------

Tujhko socha to bohat per likha kum Mene

Tujhko socha to bohat per likha kum Mene,
Ke Teri Tareef k qabil mere alfaaz kahan....?
------------------------------------------
 Mohabat ke baad mohabat mumkin hai faraz...
Par toot ke chahna ek baar hota hai....!!!

------------------------------------------

Tumharey Chand Se Chehrey Pey Gham Achey Nahi Lagtey,,

Humein Keh Do K Chaley Jao, Jo Hum Achey Nahi Lagtey,,

Humein Wo Zakham Do Jo Sari Umer Na Bhar Paye,,

Jo Jaldi Bhar K Mit Jayen Wo Zakham Achey Nahi Lagtey,,

Tumhein Her Ghazal Mein Likhna Mera Dastoor Hai Lekin,,

Sari Mehfil Mein Terey charchey Humein Achey Nahi Lagtey,,

Main Chahat Ki Us Manzil Pe Aa Pohancha Hon
K

Terey Chahne Wale Mujhey Achey Nahi Lagtay...!!

--------------------------------------------------

Kabhi sawaal Dil mein 
le kar jawaab 
Dhondne Nikla tha.... 

Main Be'wafaon ki
Basti se wafa
Dhondne Nikla tha......

Kya ajab silsala tha
un ki muskarahton
ka.....

Main un
Muskurahaton par
jaaN Denay Nikla
tha.......

Kya andaaz tha us
ki Mehkti houi
chahton
ka.......

Jin chahtoon pr
main sb kuch
" Qurbaan "
karny Nikla
tha.........

Jab thokar lagi to
ye khayal aaya

K

Main apni hi zindagi
Bar'baad
karne
Nikla tha.'

-----------------------------------------------------
Kaho To Laut Jate Hain

Abhi To Baat Lamhon Tak He, Salon Tak Nahi Aai
Abhi Muskanon Ki Nobat Bhi Nalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peron Tak He. Balon Tak Nahi Aai

Kaho To Laut Jate Hain

Chalo Ek Faisla Karne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zuban Datoon Talak Hai Zehr Piyalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Musk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwan Humaray Darmian He, Duniyan Walloon Tak Nahin Aai

Kaho To Lout Jatan Han

Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han
Abhi Nazdeek Han Ghar Aur Manzil Door He Apni
Mubada Nar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni

Kaho To Lout Jatay Han

Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Dar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.

Kaho To Lout Jatay Han

Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay To Sath Tumharay Amer Hounay Ki Hasrat He
Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Dar Ka Rasta
Ye Asaboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghar Ka Rasta

Tumhary Gaisooun Ki Chaoon Mil Jayay To Suraj Se Ulajhna Bat He Kia He
Utha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Mere Hath Man Ho To Me Ye Samjho
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho Jayain
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho Jayain.
Mujhe Maloom He Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Han In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo

Kahoo To Chaltay Rahtay Han
Kahoo To Lout Jatay Han...!!!

-----------------------------------

‎'Shehr-e-fana hoon, tere kis kaam ka hon?

Ek bujhta sa dia hon, tere kis kaam ka hon?

Tu rafaqat k lye aur kisi ko chun le,

Main to khud aabla pa hon,
tere kis kaam ka hon?

Tujko darkar hain pholon k mehkate saaye

Main to sehra me khara hon
tere kis kaam ka hon?

Ae parstare gul-e-tarr tera rasta takte takte

Shaakh pe sookh gia hon
tere kis kaam ka hon?

Tu b auron ki trah mujse kinara kr le

Sari dunya se bura hon tery
kis kam ka hoon

--------------------------------------------

Urdu Yaad Shayari

chaand hansta raha raat gaati rahi,
yad mujhko tmhari satati rahi..

tmko aana na tha tum na aye sajan,
dekhte hi rahe raah mere nayan..

aas deepak jalati bujhati rahi,
yaad mujhko tumhari satati rahi..!!
------------------------------------------

Mohabbat marti nahi janna!!! 
Mohabbat sath rehti hai 
Kai roopoon main palti hai 
Kai sapnoon main dhalti hai 
Ye barsoon se sunte hain 
Kahin shoula kahin shabnam 
Kahin hai Aag ki surat 
Umeed-e-sahar ki mourat 
Mohabbat mann main basti hai 
Mohabbat rooh main ghulti hai 
Per ye ab tm jaan lo janna 
Mohabbat zinda rehti hai!!! 

Kahin mojon c hai bharpoor 
Kahin darya c hai saakin 
Hum ye bhi sunte hain 
Mohabbat tabinda rehti hai 
Wasl ki bhi surat
Haan ye wasl ki surat 
Mohabbat sansoon main chalti hai 
Ye Qalbon min basti hai 
Mohabbat Zinda rehti hai…! 

Kisi ne khoj lgai hai 
Mohabbat Akhrish hai kia??? 
Kisi k khushk honton pe 
Aab-e-sada ko lagana 
Mohabbat thehar gay dil mein 
Kisi bhi qaid punchi ko 
Rah-e-Azari dekhana 
Mohabbat ban gaye dil mein 
Kisi ka dil behlana 
Kisi ke zakham sihlana 
Kisi ki Zulf suljhana 
Mohabbat naam de dhala 
Kai rang hai is ke 
Kai roop hai is ke 
Yeah sab hi Mohabbat hain…! 

Per ik baat kehni hai 
yeah sab to mohabbat ke 
wo saray rang hain dekho 
jo dil ko chain dene ko 
hamesha sath rehte hain 
sansoon ke chalne ko 
Faqt ik aas dete hain 
zara ghore kero gay tum 
to yeah jaan jaoo gay 
mohabbat ke rang yeah saray 
Makhas umeed se lipte hain 
Agar umeed nahi ho to….? 

Chaloo….! 
Mein tum ko batlaoon 
Mohabbat hijr hai janna 
Khizan ke bad mousam ka 
Yeah ik shajar hai janna 
Namukamil zeesat ki khawahish 
yeah ban ke dasti hai 
Aik zahar ki manind 
Rag rag mein chalti hai 
Weerani ankhoon mein 
Sada abad kerti hai 
Yeah Qalab-e-Parishaan ko 
Buhat barbaad kerti hai 
Mohabbat hijr ki sourat 
Gar thehar gaye dil mein 
To jaan lo janna 
Mohabbat marti nahi hai na….? 
Mohabbat maar deti hai 
Haan yeah maar deti hai…!
-------------------------------------
Hath Zakhmi hue to Kuch Apni hi Khata thi...!
Lakeeron Ko Mitana Chaha kisiko Pany K Liye....!
-------------------------------------


Hm mr jaen gy ik din daikh lena..!
Ro gy boht tm us din daikh lena.
Duniya main hain to parwa nai hmari.
Chor jaen gy tumhain ik din daikh lena.

Aanso chupatay phiro gy sb sy tm.
Itna hi hm yad ayen gy daikh lena
Kuch yadein mithi mithi si tm ko boht sataen gi
Tm khud ko na rok pao gy daikh lena.

Mana k kuch nai hen aj hum tmharay liye.
Kal tmharay liye ik yad ban jaen gy daikh lena..!!
----------------------------------
‎"Mat pooch mujhse mere beety lamhon ki kahani,
Mubtala hain ankhain dard main or roya nahi jata"
------------------------------------

Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaroo
Mujhko Bhe Meri Asal Raah Dikha Do Yaaro
Pehna K Mujhe Meri He Ghurbat Ka Kafan
Un Py Surkh Jorra Saja Do Yaaro

Naam Likh Do Unka Khushiyon Ki Deewar Par
Mera Naam-o-Nishan Dunya Sy Mita Do Yaaro
Waqt Aakhiri Hai Teri Dunya Mein Is Dewane Ka
Ho Sakay To Meray Mehboob Ko Ye Batado Yaaro

Suna Hai Aaj Uski Douli is Gali Sy Guzar Jaigi
Meri Mayyat Ko is Rastay Sy Hata Do Yaaro..........!

-----------------------------
Dilon Ko Torney K Liye Zarorat Nhi Patharon Ki,
Ye DiL To Bikhar Jatey Hain Sirf Lafzon Ki Chot Sey...!
--------------------------------------
us k hath ka khilona he sahi khush hoon may..
Kuch dair k lye he sahi mujhe chahta to hai....!
-------------------------------------------

Reh na paoge bhula kar dekh lo,
Yakin na aaye to aajzma kar dekh lo,
Har jagah mehsus hogi meri kami,
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo
------------------------------------

Sath to ek pal ka tha phir kiun mujhy yaad aaty ho tum, 
Aks ki tarha mery dil pr kiun chaa jaty ho tum, 
Dilbar bhi nhi ho mery hamdum bhi nhi ho tum,
Ye rasty pyaar K mujhy phr kiun dikha jaty ho tum, 

Hum kabhi mily thy to ek ajnabi ki tarhan, 
Meri raton ki neend phr kiun ura jaty ho tum, 
Hawaon se hum tumhara pata poochty rhe, 
Kuch is tarhan se apna dewana bana jaty ho tum, 

Sath to ek pal ka tha phr kiun mujhy yaad aaty ho tum...