Tarapte hain na roote hain, na hum faryad karte hain,
Sanam ki yaad me har dam khuda ko yaad karte hain,
Unhin ke ishq me hum naala-o-faryaad karte hain,
Elaahi dekhiye kis din hame wo yaad karte hain...
Shab-e-faraaq me kia kia saanp lehraate hain seene pe,
Tumhari kakul-e-peechan ko jab hum yaad karte hain...
-----------------------------------
Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat 'Wasi'
Qatra qatra baras rahi hai askhkon ki barsaat 'Wasi'
Tere baad ye dunya wale mujh ko pagal kar dain ge,
Khushbu ke dais me mujh ko le chal apne saath 'Wasi'
Yunhi chup ki muhar laga kar kab tak gum sum betho ge?
Khamoshi se dam ghutta hai chairo koi baat 'Wasi'
Chor 'Wasi' ab us ki yaadain, tujh ko pagal kar dain gi,
Tu qatra hai wo darya hai, dekh apni Aoqaat 'Wasi'..!!
-----------------------------------------
Me jo mehka toh meri shakh jala di uss ne,
Sabz mausam me mujhe zard hawa di uss ne...
pehle ik lamhe ki zanjeer me bandha mujh ko,
Aur phir Waqt ki raftar barha di uss ne...
Jaanta tha ke mujhe maut sakoon bkhshe gi,
woh sitamgar tha so jeene ki duaa di uss ne...
Uss ke hone se thiin saanse meri dugni shayad,
Woh jo bichra toh meri umar ghata di uss ne....!
----------------------------------------
Chalo Ab Mil K Hijr-o-Habs Ka Moasm Bdalty Hain,
Zara Sa Tum Bdal Jao.!
Zara Sa Hum Bdalty Hen,
Bas Itna Yad Rakh Lena.!
Ke Wesy Kam Bdalty Hen,
Mgar Jub Hum Bdalty Hen.!
to Phr..!
Peham Badalty Hen,
Ager Tum Ye Smajhty Ho.!
Tumhary Gham Ziyada Hain..!
To Ab Ki Baar Aapas Me..!
Hum Apny Gham Bdalty Hain..!
---------------------------------
--------------------------------
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi,
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi
Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki,
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi
Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta,
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi
Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi
Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi
Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir,
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi
Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi
Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...
--------------------------------
Kabhi Pathar Ki Thokar Se Bhi Aati Nahi Kharash,
Kabhi Ek Zara Si Baat Se Insaan Bikhar Jata Hai...!
---------------------------------------
Taras Jao Ge Hamare Laboon se Sunne ko ek ek Lafz..
Piyaar Ki baat to Kia Ham Shikayat Bhi Nahi Karainge..!
-----------------------------------
Ab wafa se mukar gya hai Dil,
Ab Mohabbat se dar gya hai Dil,
Ab Sahaaron ki baat mat krna,
Ab Dilason se bhar gya hai Dil,
Jab Bulate thy zinda dil thy hum,
Ab na aao k mar gya hai Dil..!
Ab wo pagal pan na wehshat hai,
Chot kha kha kar Sambhal gya Hai Dil...!
---------------------------------
Buzdil hain wo log jo mohabbat nahi karty,
Bohat hosla chahiye barbaad hone k liye..!!
-------------------------
"Mat pooch mujhse mere beety lamhon ki kahani,
Mubtala hain ankhain dard main or roya nahi jata"
------------------------
Us ne to Thukra diya Haal-e-Ghareebi Dekh kar, 'Dost'
Hum Aj Bhi Anmool hain Mohabbat ke Bazaar mein.....!
----------------------------
Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaroo
Mujhko Bhe Meri Asal Raah Dikha Do Yaaro
Pehna K Mujhe Meri He Ghurbat Ka Kafan
Un Py Surkh Jorra Saja Do Yaaro
Naam Likh Do Unka Khushiyon Ki Deewar Par
Mera Naam-o-Nishan Dunya Sy Mita Do Yaaro
Waqt Aakhiri Hai Teri Dunya Mein Is Dewane Ka
Ho Sakay To Meray Mehboob Ko Ye Batado Yaaro
Suna Hai Aaj Uski Douli is Gali Sy Guzar Jaigi
Meri Mayyat Ko is Rastay Sy Hata Do Yaaro..........!
----------------------------------------
Bohat Kehny Ki Khuwahish Hai,
Mgr Bta Nahi Sakty..
Teri Batain, Teri Yaadain,
Hamara Dil Dukhati Hain..
Bohat Takleef Hoti Hai,
Tujhe Suna Nahi Sakty..
Tere Sath Chalna Hai,
Teri Manzil Bhi Ban Nahi Sakty ..
Bohat Thak Gaye Hain Hum,
Ab Aagy Ja Nahi Saktay..
Suno Hum Toot Jaen Ge,
Humain Kese Sametto Ge..
K Mar K Bhi Meri jaan!
Hum Tujhe Bhula Nahi Sakty...!!!
-------------------------------
UDAS KYUN HO..??
Gulab Rut main haseem chehro, hamain bataao udas kyun ho
Dilon pe beeti hui kahani, wo sab sunao udas kyun ho
jo Ranjishain dil main pal raheen hain, munafqat main jo dhal rhi hain
Bhula k shikway mita k doori, galay lagaao udas kyun ho
Kitab-e-dil k tmam safhoon pay, ham ne likha hy lafz MUHABBAT
Hamain hamari wafa k agay, saza sunao udas kyun ho
Faraib khana bhi mashgla hay, faraib dena bhi mashgla hay
To dil k lutnay pay kaisa matam, Khushi manao udas kyun ho...!!
--------------------------------
..Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha
Ishq Tha Jo Kabhi Izhaar Tak Nahi Pohncha
..Yun Tu Guftagoon Bohut Huwe Unse Phir Bhi
Silsila Kabhi Yeh Pyaar Tak Nahi Pohncha..
..Jaane Kaise Ho Gaya Waakif Tamaam Shehar
Daastan-e-Ishq Yun Tu Kabhi Akhbaar Tak Nahi Pohncha..
..Shartein Ek Dusare Ki Manzoor Thi Yun Tu
Par Masauda Hamara Kabhi Qaraar Tak Nahi Pohncha..
..Gahrayi Dosti Main Naapta Bhi Kaise
Rishta Hamara Kabhi Taqraar Tak Nahi Pohncha..
..Ana’a Meri Mujhe Izazat Nahi Deti
Faqat Isliye Zaidi Darbar Tak Nahi Pohncha....!
---------------------------------
---------------------------------
♥ MOHABBAT CHORR DI HUM NE ♥
Mohabbat chorr di hum ne....
Ye tum se kah diya kis ne ...,,,
K tum bin rah nahi saktay...,,,
Ye dukh hum sah nahi saktay...
Chalo hum maan laitay hain..
K Tun Bin.......
Hum buhat Roye....
kaii raton ko na soye....
Magar afsoos hai JANA...
K... ab k tum jo loto ge...
Humein Tabdeel Paoo Ge..
Buhat mayoos ho ge tum...
Agar tum poochna chaho k ...
Aisa kyn kiya hum ne.....
To .. sun lo goar se JANA...
PURANI IK RAWAYAT TANG AA KAR
TORR DI HUM NE.....
MOHABBAT CHOR DI HUM NE....!!
MOHABBAT CHOR DI HUM NE....!!
-------------------------------
Bikharti Rait Pr Kis Naqsh Ko Aabad Rakhy Ga,
Wo Mujh Ko Yaad Rakhy Bhi To Kitna Yaad Rakhy Ga,
Usy Bunyad Rakhni Hay Abhi Dil Mein Muhabbat Ki,
Mgar Ye Sang Seeny Pr Wo Mere B’ad Rakhy Ga,
Palat Kr Bhi Nhi Dekhi Teri Ye Be’Rukhi Hum Ne,,
--------------------------------
♥ Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain ♥
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...
Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain...
Suna hai rabt hai us ko kharaab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain...
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain...
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain...
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain...
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain...
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain...
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain...
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain...
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain...
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain...
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain...
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain...
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain...
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain...
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain...
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain...
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain...
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain...
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain...
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain...
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain....
----------------------------------
jO hOty hain faqat chahe jane k qabil,
wO lOg nhi hOty bhUlaye jane k qabil,
tera khalOs aapni jaga meri majbOri smjh,
kUch dUkh nhi hOty btaye jane k qabIl,
ay sagar ki lehrO zara deyaan se paltna,
kUch ghrOnde nhi hOty mitaye jane k qabil,
jnmbish-A-lu b zruri nhi ankhEn keh deti hain,
kUch jazbaat nhi hOty chUpaye jane k qabil!!
-----------------------------
Uzr any main bhi hai aur bulaty bhi nahi,
baais-e-tark-e-mulaqat bataty bhi nahi,
khoob parda hai k chilman se lge bethe hain,
saf chupty bhi nahi samny aty bhi nahi,
dekhty hi mujhe mehfil me ye irshaad hua,
kon betha ha? isy log uthaty bhi nahi,
ho chuka qata ta'lluq to jafaen kiun hon,
jinko matlab nahi rehta wo sataty bhi nahi,
zeest se tang ho "MOHSIN" to jeety kiun ho,
jan pyari bhi nahi jan se jatay bhi nahi....
-------------------------------
Abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai
k ashk rokna tum se mahaal hona hai
har aik lab pe hain meri wafa k afsaney
terey sitam ko abhi lazaval hona hai
tumhein khabar hi nahin tum to laut jao gey
tumharey hijr mein lamha bhi saal hona hai
hamari rooh per jab bhi azab utrein gey
tumhari yaad ko uss dil pe dhaal hona hai
har aik shakhs chaley ga hamari rahon per
muhabbaton mein humein woh misaal hona hai
zamana jis k khum-o-paich mein ulajh jaye
hamari zaat ko aisa sawal hona hai
wasi yaqeen hai mujh ko woh laut aaye ga
usey bhi apney kiye ka malaal hona hai...
k ashk rokna tum se mahaal hona hai
har aik lab pe hain meri wafa k afsaney
terey sitam ko abhi lazaval hona hai
tumhein khabar hi nahin tum to laut jao gey
tumharey hijr mein lamha bhi saal hona hai
hamari rooh per jab bhi azab utrein gey
tumhari yaad ko uss dil pe dhaal hona hai
har aik shakhs chaley ga hamari rahon per
muhabbaton mein humein woh misaal hona hai
zamana jis k khum-o-paich mein ulajh jaye
hamari zaat ko aisa sawal hona hai
wasi yaqeen hai mujh ko woh laut aaye ga
usey bhi apney kiye ka malaal hona hai...
----------------------------------
Ek roz juda ho jaunga...!
Na jane kahan kho jaunga
Tum lakh pukaro ge mujh ko
Pr lot k main na aunga
Jb ghar se bahir galiyon k
Konon pe tanha betho ge
Jb aaty jaaty chehron main
Tum chehra mera na pao ge
Thak har k din k kamo se
Jb rat ko sony jaoge
Dekho gye jb phone ko
Pegham mera na paoge
Tb yaad tumhy main aunga
Pr lot k main na aunga
Ek roz ye rishta chooty ga
Dil itna zada tooty ga
Phir koi na hum se roothe ga
Main na ankhen phir kholun ga
Tm se kbi na bolun ga
Us din tm ro do gy
Or hum ko kho do gy...!!!
---------------------------------
Jisy khud sy hi nahi fursatein, jisy khyal apny kamal ka.... !!
Usey kya khabar mery shoq ki, usy kya pata mere hal ka....
------------------------------------
Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaroo
Mujhko Bhe Meri Asal Raah Dikha Do Yaaro
Pehna K Mujhe Meri He Ghurbat Ka Kafan
Un Py Surkh Jorra Saja Do Yaaro
Naam Likh Do Unka Khushiyon Ki Deewar Par
Mera Naam-o-Nishan Dunya Sy Mita Do Yaaro
Waqt Aakhiri Hai Teri Dunya Mein Is Dewane Ka
Ho Sakay To Meray Mehboob Ko Ye Batado Yaaro
Suna Hai Aaj Uski Douli is Gali Sy Guzar Jaigi
Meri Mayyat Ko is Rastay Sy Hata Do Yaaro..........!
---------------------------------
Bohat Kehny Ki Khuwahish Hai,
Mgr Bta Nahi Sakty..
Teri Batain, Teri Yaadain,
Hamara Dil Dukhati Hain..
Bohat Takleef Hoti Hai,
Tujhe Suna Nahi Sakty..
Tere Sath Chalna Hai,
Teri Manzil Bhi Ban Nahi Sakty ..
Bohat Thak Gaye Hain Hum,
Ab Aagy Ja Nahi Saktay..
Suno Hum Toot Jaen Ge,
Humain Kese Sametto Ge..
K Mar K Bhi Meri jaan!
Hum Tujhe Bhula Nahi Sakty...!!!
------------------------------------
"Ajeeb zulm huye hain duniya main MUHABBAT pr,
Jinhy mili unhy qadar nahi, jinhy qadar thi unhy mili nahi..
------------------------------------
..Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha
Ishq Tha Jo Kabhi Izhaar Tak Nahi Pohncha
..Yun Tu Guftagoon Bohut Huwe Unse Phir Bhi
Silsila Kabhi Yeh Pyaar Tak Nahi Pohncha..
..Jaane Kaise Ho Gaya Waakif Tamaam Shehar
Daastan-e-Ishq Yun Tu Kabhi Akhbaar Tak Nahi Pohncha..
..Shartein Ek Dusare Ki Manzoor Thi Yun Tu
Par Masauda Hamara Kabhi Qaraar Tak Nahi Pohncha..
..Gahrayi Dosti Main Naapta Bhi Kaise
Rishta Hamara Kabhi Taqraar Tak Nahi Pohncha..
..Ana’a Meri Mujhe Izazat Nahi Deti
Faqat Isliye Zaidi Darbar Tak Nahi Pohncha....!
No comments:
Post a Comment