Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jo Ramzan k rozy rakhy aor phir us k baad shawal main
(6) rozy rakhy to yeh hamesha rozaa rakhny ki maanind hai.
Hazrat Abu Hurera (R.A) farmaty hain keh, |
Rasool Akram (S.A) ny irshad farmaya:-
Jo shakhs bila azar Ramzan ka aik roza bhi chory to
zamany bhar k rozy us ko kafi na hongy.
Hazrat Zaid Bin Khalid (R.A) sy riwayat hai:-
Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jis shakhs ny kisi roza daar kaa roza aftaar krwaya to
us k liye us roza daar ki masal e ajar hai aor rozy daar
ky ajar sy bhi kuch kami nahi ki jaye gi.
(Tirmazi, Hadees Hassan Sahii Bukhari).
Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Beshak jo shakhs Allah Taalaa k liye aik din ka bhi
roza rakhy to Allah Taalaa us ko dozakh ki aag
(70) baras ki musafat k barabar door kr deta hai.
Rasool Akram (S.A) ny aik aadmi ko hukam farmaya:-
Jis aadmi ny Ramzan main roza tor liya to usy chahiye
keh woh aik ghulam ko aazad kry, do maheenon k rozy
rakhy yaa saath (60) maskeenon ko khana khilaye.
Aik shakhs Rasool Akram (S.A) k pas aaya aor bola:
Yaa Rasool (S.A) mainy roza main bhool kar kha pee liya.
To Aap (S.A) ny farmaya tujhy Allah Ny khilaya pilaya.
Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Sehri khaya kro kiyon keh sehri k khany main barkat hai,
aor yaqeenan Allah aor us k farishty sehri khany walon
par darood bhejty hain.
Hazrat Abu Hureraah Sy riwayat hai keh
Rasool Akram (S.A) ny irshad farmaya:
Keh jis shakhs ny Imaan k jazby sy aor talb e sawab
ki niyat sy Ramzan ka roza rakha, to us ky pichly
gunahon ko bakhshish ho gai.
(Bukhari o muslim, Mashkaatu).