Monday 13 June 2016

Ramadan Kareem Images with Ramdan Hadith for FB


Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jo Ramzan k rozy rakhy aor phir us k baad shawal main 
(6) rozy rakhy to yeh hamesha rozaa rakhny ki maanind hai.



Hazrat Abu Hurera (R.A) farmaty hain keh,
Rasool Akram (S.A) ny irshad farmaya:-
Jo shakhs bila azar Ramzan ka aik roza bhi chory to 
zamany bhar k rozy us ko kafi na hongy.



Hazrat Zaid Bin Khalid (R.A) sy riwayat hai:-
Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jis shakhs ny kisi roza daar kaa roza aftaar krwaya to 
us k liye us roza daar ki masal e ajar hai aor rozy daar 
ky ajar sy bhi kuch kami nahi ki jaye gi. 
(Tirmazi, Hadees Hassan Sahii Bukhari).



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Beshak jo shakhs Allah Taalaa k liye aik din ka bhi 
roza rakhy to Allah Taalaa us ko dozakh ki aag 
(70) baras ki musafat k barabar door kr deta hai.



Rasool Akram (S.A) ny aik aadmi ko hukam farmaya:-
Jis aadmi ny Ramzan main roza tor liya to usy chahiye 
keh woh aik ghulam ko aazad kry, do maheenon k rozy 
rakhy yaa saath (60) maskeenon ko khana khilaye.



Aik shakhs Rasool Akram (S.A) k pas aaya aor bola:
Yaa Rasool (S.A) mainy roza main bhool kar kha pee liya. 
To Aap (S.A) ny farmaya tujhy Allah Ny khilaya pilaya.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Sehri khaya kro kiyon keh sehri k khany main barkat hai, 
aor yaqeenan Allah aor us k farishty sehri khany walon 
par darood bhejty hain.



Hazrat Abu Hureraah Sy riwayat hai keh 
Rasool Akram (S.A) ny irshad farmaya:
Keh jis shakhs ny Imaan k jazby sy aor talb e sawab 
ki niyat sy Ramzan ka roza rakha, to us ky pichly 
gunahon ko bakhshish ho gai. 
(Bukhari o muslim, Mashkaatu).


Saturday 4 June 2016

Ramzan Mubarak Sahi Bukhari in Urdu Fonts


Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Keh jab Ramzan ka maheena aata hai to Jannat k 
darwazy khol diye jaty hain, aor shetaan zanjeeron 
main jakarr diye jaty hain.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jo shakhs sidq e dil aor aitmaad e sahii k sath Ramzan 
main qiyam kry, yani tarawiyaah parhy to us k 
pichly gunah bakhsh diye jayen gy.



Rasool Akram S.A ny farmaya:-
Jis shakhs ny Imaan aor ahtsaab k saath Ramzaan ka 
roza rakha to us k pichly gunaah muaaf kr diye jaty hain.



Rasool Akram S.A ny farmaya:-
Sehri khaya kro, kiyon keh sehri k khany 
main barkat hoti hai.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Keh humary rozy aor ahal e kitab k rozy ky darmiyan sehri khany main farq hai.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Ramzan k aakhri ashry main Shab e qadar talash kro, 
Phir agr tum main sy koi kamzori dikhaye ya aajiz 
ho jaye to aakhri (7) raaton main susti na dikhaye.



Hadees e Nabvi:-
Hazrat Abu Hureraa Biyaan karty hain keh 
Hazoor Akram S.A ny irshaad farmaya:-
Jab tm main sy koi rozaa aftaar kry to woh khajoor 
sy aftaar kry. Kiyon keh woh baa's e barkat hai. 
agar woh na paaye to phir paani sy aftaar kr ly. 
Kiyon keh woh baa's e tahaarat hai.


Thursday 26 May 2016

Love Romantic Poems in English for Her


Love You Alot

You are the prettiest,
You are the cutest,
If I had to invent a new word,
I would call you the most beautiful,
You are the most charming,
You are most intelligent,
I have never seen someone,
Who is so elegant,
You are the girl,
That every guy desires,
For you, my heart is on fire.



Love

"Into my world,
Of darkness and silance,
You brought light and Music,
When you lit my candle,
I Began to see and understand,
The taste and taxture of Love,
For the first time".


Wednesday 25 May 2016

English Romantic Poem I Lost Myself for Lovers



I lost my self, the day,
I looked in your Eyes,
Your hug have given me,
In the depth of Love,
My life is anchored firmly,
Exactly how I've always,
Wanted it to be...


Saturday 21 May 2016

Shab e Barat Mubarak Islamic Pictures with Hadees


Nawafil Baraaye Azaab e Qabar: Pandharween shab ko 
(8) rakaat nimaaz salam parhy. Har main soora e fatiha 
k baad (10,10) martabah parhy. Allah Paak us Nimaz 
k baad parhny waly k liye be shumaar farishty muqarar 
kry ga. Jo usy azab e qabar sy nijaat ki aor 
dakhil behshat hony ki khushkhabri dein gy.



Shaaban ki pandharween shab ko Nimaaz e Maghrib 
k baad (6) rakaat nafal nimaz, do do rakaat kr parhein. 
Pehly do nafal parhny sy pehly umar main kher o barkat 
ki niyat kryn. Dosry do nafal parhny sy pehly balaon 
aor museebat sy mahfooz rehny ki niyat kryn. 
Teesry o nafal parhny sy pehly makhlooq ka mohtaah 
na hony ki niyat kryn. Har do do nafal adaa krny k baad 
aik baar soor e yaseen ya (21) baar soor e ikhlaas 
parhein aor darood e pak parh kr dua mangein.



Ilaahi Azzawajjal to bohat muaaf farmany
 wala hai. Muaaf farmany ko pasand krta hai. 
Pass mujhy muaaf farma dy.



Rasool Akram (P.B.U.H) Farmaty hain mujhy 
Jibraeel (A.S) ny khabar di Maah e Shabaan main 
Allah taalaa rehmat k teen so (300) darwazy khol deta hai.



Hazrat Ali (R.A) sy riwayat hai keh Rasool Akram 
(P.B.U.H) ny irshad e mubarik farmaya keh jb 
Shabaan ki pandhraween shab aaye to tum raat 
ko qiyaam kro. Yani nawafil parho aor din ko roza rakho.



Ilaahi Azzawajjal tu bohat muaaf farmany wala hai. 
Muaaf farmany ko pasand krta hai. 
Pass mujhy muaaf farma dy.



Mujhy pukaro, mujh sy hi maango, 
Main tumhari duaein sun'ny wala hoon.



Is raat main Allah Taalaa banoo qalab ki bakrion 
k baalon k barabar logon ko jahannum sy aazad farmata hai.



Ay Allah! meri madad farmaa keh main tera zikar kroon, 
tera shukar adaa kroon aor teri behtreen ibadat kroon.



Hazrat Aysha (R.A) sy riwayat hai keh Rasool Akram 
(P.B.U.H) ny farmaya mery pas Jibraeel (A.S) aaye aor 
kaha Shaaban ki pandharween raat hai. Is main Allah 
Taalaa jahannum sy itny ko aazad farmata hai jitny bani 
qalab ki bakrion k baal hain. Magr kafir aor adaawat waly 
aor rishty katny waly aor kapra latkany waly aor waldein 
ki naa farmani krny waly aor sharaab k aadi ki 
taraf rehmat nahi krta.



Shab e baraat (14) rakaat nafal nimaz do do rakaat kr 
aisy parhein keh har rakaat main soor e alfalaah k baad 
koi bhi soorat aik aik baar parhein har do rakaat nafal 
parhny k baad (14, 14) baar soor e fatiha aor Soor e Ikhlaas 
parhein phir aik baar Aayat ul Kursi parhein. Us k baad 
Soor al Toabaah ki aayat 128-129 parhein. Is ka bohat 
ajr o sawab hai.



Jo maah e shabaan k mukammal rozy rakhta hai 
Allah Taalaa sakraat moat sy usy nijaat ataa 
fatamata hai. Qabar ki tareeki aor munkir nakeer 
ki dehshat o heebat sy mahfooz ho jata hai. 
(Nazhat ul majalis).



Shab e qadar ki fazeelat aor sunnat ka tareeqa:-
(4) rakaat (aik salam sy) tarkeeb: har rakaat main 
(Alhumdulillah) k baad. (2) baar (soor e alqadar) 
(5) baar (soor e ikhlaas. Salam k baad sajdy main 
jaa kr (41) baar (Subhan Allah) Parhy.
Fazeelat: Jo dua mango qabool hogi.



Hazart Abdullah Bin Umar (R.A) ny 
Rasool Akram (P.B.U.H) sy riwayat ki keh 
Rasool Akram (P.B.U.H) ny farmaya Shab e Qadar 
ko aakhir ki saat raton main talash kro. 
(Sahi Muslim, Kitab ul soam, Page 169, Hadees Number 2762).




Hazrat Ali (R.A) sy riwayat hai keh Rasool Akram 
(P.B.U.H) ny irshad e mubarik farmaya keh jb 
Shabaan ki pandhraween shab aaye to tum raat 
ko qiyaam kro. Yani nawafil parho aor din ko roza rakho.

Friday 20 May 2016

Best Urdu Two Line Shayari Collection for Facebook Posts


Nigahein na phero chaly jayen gy hum,
Magr itna yaad rakho Yaad aayengy hum...!!!



Hum ny to Begaana nahi kiya kisi ko apny sy, Zaid
Jis ka dil bharta geya woh hum sy Door jata geya...!!!



Khafa rehny ka shoaq bhi pura kr lo tum,
Lagta hai tumhain hm achy nahi lagty...!!!



Mily woh shakhs agr to usy itna keh dena, Ghalib
Keh koi tumhari har waqt raahein takta hai...!!!



Shiddat e dard main koi kami na aai,
Dard phir dard raha ulta likha yaa sidha...!!!



Aaj Bethi Hun Apny Hi Ghar Ki Dehleez Py Aisy,
Socha Na Tha Muhabbat Yeh Din Dikha Degi...!!!



Jin rahon py hum chalty thy ikathy kabhi, Zaid
Aik arsaa sy woh rahein Sunsaan pari hain...!!!



Khaak Muthi Main Liye Qabar Ki Sochta Hun, Ghalib,
Hum Jo Mar Jaty Hain, To Khawab Kidhar Jaaty Hain...!!!



Toot jaata hai khud sy waasta, Zaid
jab tujh sy Raabta nahi hota...!!!


Sunday 15 May 2016

2 Line Urdu Romantic Shayari for Facebook Pages


Aankhon k qareeb to nahi, lekin
Mery Dil k bohat qareeb ho tum...!!!



Laal baalon wali larki sy puchun ga, Zaid
Kahan sy sikha hai dilon main utar jana...???



Usi darya dili sy aao milty hain,
Jesy Jehlam aor Chanaab milty hain...!!!



Kuch log hathon main zanjeer liye tumhari taaq main hain,
Ay Ishq! humari galiyon main na hi phiro to behtar hai...!!!



Hoti hain Ishq main kuch raaz ki batein, Zaid
Aisy hi to is khail main haara nahi jaata...!!!



Kon kehta hai nafraton main Dard hai, Zaid
Kuch Muhabatein bhi bari aziyat naak hoti hain...!!!



Tujh sy bichar kr yeh Tanhai ki ratein,
katt to jati hain magr kaati nahi jati...!!!



Mujhy Ishq ho geya hai,
main bach to jaongi na..!!